Sai amritwani

SAI AMRIT VANI Shri Satchidanand Sadguru Sainath Maharaj ki Jay __________________________________ Om Sai Shri Sai Jaya Jaya Sai _____________________________________________ Sai Kripa Avatharan Sai naam jyothi kalash, hey jag ka aadhaar | chintan jyothi punj ka, kariyen baarambaar
||1|| Sothe jagte Sai kah, aate jaate naam | man hi man se Sai ko, Shath Shath kare pranaam
||2|| Sukhdaa hein shubha kripa, shakti shanti swaroop | hein satya anand mayi, Sai Kripa anup
||3|| Dev danuj nar naag pashu, pakshi keet patang| sab mein Sai samaan hein, Sai sabhi ke sang
||4|| Sai naam vah naav hein, vus par ho asvaar | bhale hi dustar hein badaa, karta bhavsagar paar
||5|| Mantramay hi maaniye, Sai Ram bhaghvaan | devalay hein Sai ka, Sai shabd gun khaan
||6|| Sai naam aaraadhiye, bheetar bhar ye bhaav | dev daya avatharan ka, dhaar chouguna chaav
||7|| Sai shabd ko dhyaayiye, mantr taarak maan | swashakti sattaa jag kare, vupari chakr ko yaan
||8|| Jeevan virathaa beeth gaya, kiya na saadhan ek | kripa ho mere Sai ki, mile gnyaan vivek
||9|| Baba ne ati kripa kini, mohe deeyo chaaho samjhaayi | ahankaar ko chodo bhaayi, jo tum chaaho bhalaayi
||10|| ===Om Sai Shri Sai Jaya Jaya Sai === Vandanaa Sweekaar karo meri vandanaa, shirdi ke kartaar| Sai tujhe paramaatman, mangal shiv shubhkaar
|| Haath jodkar hein khadaa, sevak tere dwaar | kartaa nish din vandanaa, Sai karo sweekaar '
|| Charanon par mastak kiye, vinay bhakti ke saath | namaskaar mera tujhe, hove jag ke naath
|| Sai naam jap vandanaa, yahi saadhanaa yog | jag jhoothaa aur jagath ke, mithyaa hein sab bhog
|| Namo namo hey Sai prabhu, tum ho jag ke naath | sabke paalanhaar tum, charan navaavun maath
 || Donon kar ko jodh kar, mastak ghutne take | tujh ko ho pranaam mama, shath shath koti anek
|| Tan se seva Sai ki, man se sumiran naam | dhan se dhruti dhaarnaa, karma karo nishkaam
|| Bhakti bhaav shubh bhaavanaa, man me bhar bharpoor | shradhdha se tujh ko namoon, mere Sai hajoor || ===Om Sai Shri Sai Jaya Jaya Sai ===

This entry was posted in

Leave a Reply